Counselling Ki Avshyakta Hai
9th jan-2013, Raipur :- Face Book me yeh lekh post kiya tha. :
Jaisa ki yesterday main ne likha tha ki chhttisgarh ke sabhi girls hostel me mahila police ki tainati ki jaye aur hostel ke wardon mahila hi rakha jaye jo discipline ke sath sath bachchon ko achcha sanskar bhi de sake.
Ek alag se department honi chahiye jo in hostelo me regular visit kare aur hostel me rehne walo bachchon se puri jankari le. bachcho ko yeh bhi bharosa dilaya jaye ki unhe darne ki zaroorat nahi hai. YEH HUMARA CHHATTISGARH HAI.
Dusra ek cheez hume yeh bhi karna chaHIYE KI BACHCHO EVAm UNKE SHIKSHAKON EVAM HOSTEL KE WARDON KO COUNSELLING KARVAYA JAYE KISI ACHCHE DOCTOR SE.
counselling keval bachche ko hi nahi varan sabhi vibhagon ke karmchari chahe purush ho ya mahila, private office, schools evam sabhi nagrikon ko counselling ki zaroorat hai. ye sab ghatnayen jo ghat rahi hain ye MANSIK VIKRITI HAI. Iska iilag asha karta bhun sambhav hai aur hume chhattisgarh ke experienced psycologist se paramarsh karke ise pure rajye me implement karna chahiye. Isse bahut fark padega.
dusri or teenage bachcho ko unke mata-pita se sab ke bare me discuss karna chahiye, isme sharm ki koi baat nahi hai. Aur mata-pita ko bhi chahiye ki ve apne teenage bachcho ke prashno ka jawab de aur unke activities par nazar dale. Iske sath computer me galat site ko kisi computer operator ko bulakar bandh kar deni chahiye.
HUM SABHI KO MILKAR "CHHATTISGARH RAJYA" KO AWWAL BANANA HAI JISME HUME AAPKA PURN SAHYOG CHAHIYE.
No comments:
Post a Comment