Sunday, January 20, 2013

Ladkiyon ko Atmanirbhar Banao













Ladkiyon ko Atmanirbhar Banao

Aaj jo halat samne aa rahen hai isse saaf zahir hota hai ki aaj bhi desh me ladkiyan atmanirbhar nahi ban payee hai. Shahar ko chod de to gaon evam aadiwasi shetro me aaj bhi ladkiyon ko atmanirbhar banane ke liye unke maata-pita aur gaon ke mukhiya dwara uchit kadam nahi nuthaye ja rahe hain. Kuch to school jati hain aur baki ghar ke kaamo ya majdoori me lag jati hai. Pani bharo, chulha-chauka, ghar ki saaf-safai ityadi kaamo me aaj bhi gaon evam aadivasi shetro ki ladkiyan yehi karti hai.

Gaon ke mukhiya tatha NGO ko har ek gaon me jakar ladkiyon ko shakshar banana tatha atmanirbhar banane  hetu karya karna chahiye. Aisa nahi hai ki nahi ho raha hai parantu isme maata-pita ko bhi apne ladkiyon ko atmanirbhar, swavlambi banane me aage aana chahiye. Sarkar dwara itne saare protsahan diye ja rahe hain, kai karyakram chalaye ja rahe hain iska labh in bachchiyon ko milna chahiye jise dekhna gaon ke mukhiya, NGO ke karyakarta tatha sarkar dwara niyukt adhikari ko karni chahiye wo bhi tez gati se. In karyakramo ka sahi sanchalan ho raha hai ki nahi unhe dekhna chahiye aur aisa kya kiya jaye ki log isse jude aur apne bachchiyon ka bhavishya sudharne me madad Karen.

Aaj gaon-dehat ki ladkiya pad-likh jayengi to wah swayam hi atmanirbhar ho jayengi.Gaon me pathshalaon me jo sikshikaon ki kami hai wo bhi dur hone me jyada samay nahi lagega. Wo yadi pad-likh jayengi to dusre bachche bhi unhe dekhkar school jane lagenge / school jane ki ichcha apne maata-pita ko batayenge. Isse dhire dhire ek ghar se dusra ghar , dusre se tisra karte karte ek siksha aur atmanirbhar banne ka junoon logo me paida hoga.  Ise ek krantikari roop dena hoga.

Jab gaon se shikshit hokar ladkiyan shahar aayengi to wah aage ki padai ke sath-sath part time naukri bhi kar sakti hain jisse wah swanirbhar banengi aur bahari duniya se apne aap ko kata-kata  mehsoos nahi karengi apitu wah bahari duniya ke bare me aur gambhir roop se janengi aur apne shikshit hone ka faida bhi le payengi.

Bat sirf unhe jagrit karne ki hai. Hume zameeni star par karya karna padega tabhi jakar hum harek bachchiyon ko shakshar tatha atmanirbhar bana payenge. Khali bolbachan se nahi hoga , zameeni karya sabhi ko milkar karna hoga tabhi sarkar ke liye gaye faislon ka sahi kriyanvan hoga.

Jai Hind >> Jai Chhattisgarh >> Jai Bharat

No comments:

Post a Comment